• Browse by Tags

Rosesh Ki Kavitayen .. mast hai !!!

For those unaware or with weak memories, Rosesh is the "Momma's" boy n budding poet in Sarabhai Vs Sarabhai (Star One).

Momma ka purse momma ka purse

jaise hospital ki pyaari si koi nurse
purse mein rakha tissue paper karta hai paseene ka ilaaj
aur lipstick ho jaise bhookhe honton ka anaaj
momma ke purse ka hai makhmali sa sparsh
momma ka purse momma ka purse

Khatar khun khatar khun khatar khun

Sun mere dil ki dhun (Apparently Rosesh is comparing his heart to a car which has broken down)

Tere pyaar ki oiling mil gayi isey

Toh khatar khun ka ho jaayega gun gun

In the living room of Sarabhai's.........
Hogi Saahil Bhai ki sagaai...........
Agley mahiney...........
Priya Bhabhi phuli na samaai
Yeah Yeah Yeah...............

Tum bin jaise mai raaste ka andha bhikhari
thodi blessings daan me de do
thodi mamta tumhari
momma ho momma ha...

Ek Common Man Ko Mili Hai Pari
Jaise Chiku Ke saath Ho Strawberry
Aage Aage Mummy Aur Piche Piche Daddy
Jaise Ho Tom And Jerry

ghanan ghanan ghanan ghanan
badalo se aaye pehla soorya kiran
daanton ke liye danta manjan
aur pet ke liye kaayam chooran

hawa mein hai khushi ki aroma
jeet gayi momma,jeet gayi momma
say hi to happiness n tata to trauma
jeet gayi momma,jeet gayi momma

lagul lagul lagul lagul
laal laal lagul lagul JELLY
jelly ke cabre dancer jaise shareer mein chhupi hai
anjaani ankahee paheli

jelly hai moma ka mann
narm mulayam meetha
pasand hai ise har koi
sangeeta rita mita aneeta

jelly giri zameen par
to awaaz aayi PLUP PLUP!
baccha usme haath maare
to sunai deti hai THUP THUP!

jelly par kabhi fungus na lage
uska swaad kabhi bhankas na lage
agar bachani hai hume hamari

country...
TO JELLY KO BANANA HOGA HAMARA PRADHAN MANTRI!

tumhe samjhe toh mujhe bhi samjhana,

kyu hai mera jeevan itna khokla,

jaise koi baasi aur sada hua khaman dhokla....

aasman mein udd raha hai kabutar .....
Aasman mein udd raha hai kabutar ....

FLUTTER ..... FLUTTER..... FLUTTER......

Popat Kaka ki atma ka Popat ud gaya ud gaya ud gaya rey..
Shristi ke sajjan haath se popat jud gaya jud gaya jud gaya rey..(Popat is name of his kaka who had expired)

humpty dumpty sat on the 'gaadi'
gadi pe betha tabhi aa gayi dadi
dadi ne kaha aaja mere paas
kyunki gaadi pe bethna is just so middle class


1 comments on "Rosesh Ki Kavitayen .. mast hai !!!"

  • IFA said...
    May 24, 2016 at 11:26 PM
    also visit Hindi kavitayen for more such nice lines.


Post a Comment